Fatwa #234056 December 2012Pakistan
Fatwa #23405
Question
Asalam O Aliqum..Alim sahab mera sawal yeh ha ka aj say 9 months pehlay meri shadi hui. meray husband nay 1st night mujh say kaha ka tum mera pardah hoo ma tumhara pardah hoon.....ma nay sachaye par apnay rishtay ka agaz kya aur un ko apnay face kay hair problem ka mutaliq bata dya ka mera face par hair hain unhon nay us waqt kaha mujhay koi masla nahi ha koi problem nahi ha........two months shadi ka bilkul theek guzar gaye ma MashaAllah pregnant bhi hoo gaye.....darasal meray husband ratoon ko late atay hain, doston main uthna baithna unko zyada pasand ha. unkay doston kee society achi bhi nahi ha...woh shadi nahi karna chahtay thay azad zindagi guzarna chahtay thay waldain nay zabardasti shadi kee.....ab woh mujh say itni nafrat kartay hain face ka hair kee wajha say.......kehtay hain tum logon ko pehlay batana chahye tha.. tum logon nay hum say jhoot bola ha.....mujh say itni nafrat kartay hain ka batain apnay meray darmyan kee bajaye mujhay batanay ka apnay waldain ko batatay hain....waldain ko meray khilaf kar dya ha. woh waldain ko kehtay hain ka ma nay iss bemar aurat ko nahi rakhna. ap nay meri zabardasti shadi karwaye ha. ma nay toh is ko daikha bhi nahi jub ka engangment say pehlay 4, 5 dafa ghar aye. waldain kehtay hain ka woh iss say itni nafrat karta ha ka woh toh kehta ha iss ko toh hath laganay ko dil nahi karta iss say baat karnay say bhi mujhay nafrat ati ha. ab unkay rasam ha pehla bacha maa ka ghar hota ha mujhay 7th month ma baap ka ghar bhaij dya ha na dr par lay jatay hain na phone kartay hain na milnay atay hain, jhoot par jhoot boltay hain ma he phone karoon toh karon woh na kartay hain aur aksar uthatay bhi nahi. meri toh ghar ma mother bhi nahi hain. ma bahut pareshan hoon ka kya karoon. woh toh suna ha rakhnay ko tayar tak nahi mujhay.. na izzat kartay thay na baat kartay thay, sunday bhi ghar say bahar guzar atay thay, ab aulad ma bhi koi dilchaspi nahi ha. bahut zehni aziyat ma hoon. meri rahnumaye farmayen..Allah ap ko jaza day ga..... Ameen
Answer
In the Name of Allah, the Most Gracious, the Most Merciful.
As-salāmu ‘alaykum wa-rahmatullāhi wa-barakātuh.
Jis say Allah Ta’ala ko mahabbat hoti hay, un ka imtihaan ziyaadah sakht hota hay. Takaaleef ki wajah se Allah Ta’ala kaa qurb haasil hota hay aur ghunaah maaf hotay rahtay hain.
Aap ziyaadah se ziyaadah Allah ki taraf mutawajjih hon. Dua kartee rahain. Ziyaadah se ziyaada Allah kaa zikr karte rahain. Allah Ta’ala kay zikr se mushkilaat hal hotay hain. Istighfaar ki paabandee bhee karte rahain.
Aapke husband kay koyee rishtidaar jo umar main baray hon aur khaandaan main mua’zzaz hon, unse mashwarah karain. Apnee halat khol kar unko samjhaain aur un se madad talab karain. Ya aur koyee mua’zzaz shakhs ya Masjid kay Molana say madad maangain taakeh woh aapke aur husband ke darmiyaan sulah karain. Insha Allah faaidah hoga.
Husband kay dil may narmee paydaa karnay kay liyay Bismillahir Rahmanir Raheem 7 martabah parh kar paani par dam karlo aur jab haandiyaa pakaao to wohi paani se pakaao aur peenay kay paani par bhi dam kardo. Insha Allah, saaraa ghar shaane rahmat waalaa ho jaaigha.[1]
Allah Ta’ala aap kay mushkilaat aasaan farmaain aur aap ko khoosh rakhain. Ameen.
And Allah Ta’āla Knows Best
Abdul Azīm bin Abdur Rahman,
Student Darul Iftaa
U.S.A.
Checked and Approved by,
Mufti Ebrahim Desai.
References
- Nikah Kay Baad Mazaydaar Zindagee Kaysay Guzaarain? , p. 75